Main chup kaise rahta | hindi indian army poetry | inspiretional thoughts - motivationfm

Main chup kaise rahta | Indian army | best motivational poetry - motivationfm

Indian army poetry
Main chup kaise rahta maa
Tu hi bta maa wo dushman 
mere desh ki taraf aankh uthate
Aur main chup kaise rahta maa.

Maa tu hi bta jo laal ki kurban hua
Wo bhi to tera beta mera bhai tha
Aur main kuch na karta
Maa tu hi bta main chup kaise rahta.

Aaj bhi yaad hai mujhe 1962 ki ladaai
Jab dada ji ghar nahi loute the
Aur kurbaan ho gye mere bharat ke liye
Maa tu hi bta main chup kaise rahta.

Aaj mouka mila hai inko inki aukat dikhane
Jo khoon bahaya tha mere desh ke sipahiyo ka Mujhe aaj bhi yaad hai maa
Ab tu hi bta main kaise chup rahta.

Shahid hua mera bhai kayaro ne peeth pe goli maari thi ab seene pe goli khayenge
Maa tu hi bta main kaise chup rahta.

Jung ab shuru hui thi ki dushman ne apne kadam piche hataye the jaan baksh di hamne
Fir chhup ke waar kiya kayaro ne
Maaa tu hi bta main kaise chup rahta.

Jaan hatheli par leke khada hun sarhad par 
Ander kisi ko na ghusne diya mere lahoo ka akhiri katara bahne tak main ladunga maa
Ab tu bta main kaise chup rahta.

Ladte ladte shahid ho jau main to gam naa karna maa
Abhi ek laal kurbaan hua sou laal tere rakhwale hai maa
Ab tu hi bta kaise chup rahta.


Thanks for reading this poetry

Comments